Friday 11 May 2012

Dil Mein Ek Khuahish Hai

Dil mein ek khuahish hai jiska sirf tumse wasta hai
aaj us koahish ka izhar kerna chahta hoon

Jahan jahan tum chalo, toh tumhare
qadmoon se qadam milakar chalna chahta hoon

tumharay her ghum ke kantay ko apni,
Palkoon sey uthana chahta hoon

jo kabhi aay tumhari rahoon mein andheera tu,
khud diya ban ker jalna chahta hoon

Jo lay tumharay hontoon per khushi,
woh muskurahat ban na chahta hoon

Dil mein ek koahish hai jiska tumse wasta hai,
aaj us koahish ka izhar kerna chahta hoon

jo saansain tum laitay ho, un saanson mein bass ker
tumhari mehak banana chahta hoon

jo khowab tum dekho, tu uss khowab ki haqeeqat ban ker
tumhari her koahish pori kerna chahta hoon

jo aay tumhari rah mein kabhi dhoop tu,
uss dhoop mein tumhari chawon ban ker bikharna chahta hoon

jo rahay hamesha tumharay saath ,
woh saaya ban ker chalna chahta hoon

khuch tum kaho mujh sey basak,
magar main toh sirf or sirf tumhara ban ker zinda rehna chahta hoon

No comments:

Pages - Menu