Tuesday 31 March 2015

Ye Beeghe March Ki Chalti Hui Thandi Hawaye Jaise Badan Ko Chu Kar Mere Dil Ko Cheer Rhi Hai....!!

89th BLOG POST -->>

Ye beeghe march ki chalti hui thandi hawaye Jaise badan ko chu kar mere dil ko cheer rhi hai

Ye beeghe march ki chalti hui thandi hawaye
Jaise badan ko chu kar mere dil ko cheer rhi hai
Tere Bheege Badan ki khushboo se gul khile hain bageeche mai
kuch gulab hain or kuch aap jaisi khoobsuart raat ki rani hai

Dil khush hai aaj mera par lagata nahi dil mera yanha
Khule aashman mai chamakte chand ki trehah
Tum meri aakhoein mein basi ho par door ho kahin
Phir bhi dil ke kareeb ho ye mujhako hai yankin

Suhane mausham mai tu hain kamjori meri lekin main
Ye thandi thandi chalti hawayein jo mere dil ko cheer rhi hai
Ye chand ki sheetal chandani jo mere dil ko chuah rhi hai
Pyare pyare khushboodar phoolon se mehkati hui ye fizayein jo mere dil ko sukun de rhi hai
Bageeche mein koo koo karti pyari pyari koyal ki ye awajein jo mere kaano ko chu rhi hai
Sab ke suhane mausham ki trehah in sab lamho ko mai tumhare naam karta hoon

Ye beeghe march ki chalti hui thandi hawaye
Jaise badan ko chu kar mere dil ko cheer rhi hai
In chalti thandi hawayon mai aapki yaaden beh rhi hai
Apni aakhe band kar jo dekhta hu tuje ek pal ke lie
Tum jo apne khule balo mai mere samne khadi ho
Jiase lehre bhi huyi mastaani si teri zulf ko chhookar
Hum bhi madosh ho gye tere bheege badan ki khushboo se
Ye march ki chalti hui thandi hawaye sharab jaise madosh kar deti hai

In march ki chalti hui thandi hawao ke sapno mein dekho ek shahzadi hai soyi
Jo is raat thandi hawayon main chand ki chandni se bhi khubsuart hai yeah mera ahsas hai
Is sukun bhare thandi hawayon mai khwabo mein unke hai khoye khoye
Jab hothon se wo chumti hai chand ko toh duniya bandhti hai usski naam se
Tum kya jano is yaadon ke mausham mai uske labon par hai uske sapno ki muskurahat
March ki chalti hui thandi hawayon mai kehti hai mujhse na puchho mere dil ki halat
Dil ko chooti apni madhosh chahat se mujhe behosh kar diya

Bheege mausham mai tip tip barsta pani jaise aapki yaad dila rhi hai
Is baraste pani ki ek ek boond mai jaise aapki yaaden barash rhi hai
Apki chudi ki wo khan-khan jaise mere dil main baj rhi hai
Apki payal ki wo chan-chan jaise mere dil main gunnj rhi hai
Wo tere hathon ki mehandi Ankhon ka kajal or Hotho ki muskurhat
Ye beeghe mausham mai chalti hui thandi hawaye jiase muje sab yaad dila rhi hai

In thandi hawayo mai bhawrein bhi aap jaise khubsuart phool par mandra rhe hai
Lekin mujhe ek pyar bhara phool khilane wale bhawrein ne kha hain
Ke ugte hue suraj ki trehah ek surajmukhi hai meri intezar mein
Jo har waqt umeedo mai asmaan ki taraf palkon ko uthaye
Kuch kaheti hain uss sare jahaan ke roushan khudah se
Aur badi siddat se sar jhukaye har sham ko dharti pe
karti hain sajdah meri naam khairiyaat ke

Lekin kuch thandi jawan hawayein bahe aa rahin hain khirki se
Badan ko chu ke jaise mujhse karti hain guftagu
Kaheti hain thandi jawan hawayein mujhse yehin
Are utho bistar se dekho bahar ka pyara nazara
Jhanko khirki se dekho duniya ko kitni khubsurat sajawat se saji hai

Jahan hota ho asa march ka mast sawera
Are wha khile gul mile dil tera
Na ho gum na dar kisi ka aisi hi khushi mile har kahin
Sambhale kadam mere jahan or mujhe jane do wahan

Thanks
-Parveen Kumar Sahrawat

Pages - Menu