Saturday 19 May 2012

Me jo Bhatak gaya to Bat kya.......

Yu To Chand bhi Bhatakta hai Raat Bhar,
Me jo Bhatak gaya to Baat kya...
Sari Duniya Roti hai Chup kar,
Me jo thoda Ro liya to Bat Kya...
Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki,
Maine thoda Soch liya to Bat Kya...
Roshni ki Chah to sab ko hai,
Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya...
Zindagi k is Haseen Khwab me,
Maine Use mang liya to Bat Kya...
Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha,
Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya...
Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar,
Me jo Bhatak gaya to Bat kya........

No comments:

Pages - Menu